Friday, November 02, 2007

unse nazar kya milii roshan fizaaen ho gaiin,
aaj jaana pyaar kii jaaduugarii kya chiiz hai....

khultii zulfon ne sikhaaii mausamon ko shaayarii,
jhuktii aankhon ne bataaya maikashii kya chiiz hai.....

ham labon se kah na paae unse haal-e-dil kabhii,
aur voh samjhe nahiin yeh khaamoshii kya chiiz hai.....

--- Jagjit Singh

No comments: